zaKHmon ki dukanon pe KHaridar bhi aae
zaḳhmoñ kī dukānoñ pe ḳharīdār bhī aa.e
bāzār hai to raunaq-e-bāzār bhī aa.e
shānoñ pe yahāñ sar kī jagah kaase lage haiñ
gar sar kī bahālī ho to dastār bhī aa.e
lo haq ke liye apnī jaḌeñ chhoḌ diiñ ham ne
ab ghar se nikal kar koī ansār bhī aa.e
koshish kā ye chaak aur ghumā.ūñgā maiñ kab tak
jīvan pe mire ab koī ākār bhī aa.e
kaam ā.eñge ye chāk-e-garebāñ ke rafū meñ
kuchh ġham nahīñ hisse meñ agar ḳhaar bhī aa.e
zaKHmon ki dukanon pe KHaridar bhi aae
bazar hai to raunaq-e-bazar bhi aae
shanon pe yahan sar ki jagah kase lage hain
gar sar ki bahaali ho to dastar bhi aae
lo haq ke liye apni jaDen chhoD din hum ne
ab ghar se nikal kar koi ansar bhi aae
koshish ka ye chaak aur ghumaunga main kab tak
jiwan pe mere ab koi aakar bhi aae
kaam aaenge ye chaak-e-gareban ke rafu mein
kuchh gham nahin hisse mein agar KHar bhi aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.