zaKHmon ki farawani qatil ki shikayat bhi
zaḳhmoñ kī farāvānī qātil kī shikāyat bhī
kis darja anokhī hai ye rasm-e-mohabbat bhī
is shahr-e-ḳhamoshāñ meñ kyā sāz-e-ġhazal chheḌeñ
mahfūz yahāñ kab hai ehsās kī daulat bhī
saaqī kī nigāhoñ ke ma.asūm ishāroñ meñ
jiine kī haiñ tākīdeñ marne kī ijāzat bhī
ham kufr-e-mohabbat ke fānūs jalāte haiñ
sar āñkhoñ pe apne hai qātil kī ye tohmat bhī
pūchheñ to 'shamīm' un se kyā zulm kā hāsil hai
raas aa na sakī jin ko shaddād kī jannat bhī
zaKHmon ki farawani qatil ki shikayat bhi
kis darja anokhi hai ye rasm-e-mohabbat bhi
is shahr-e-KHamoshan mein kya saz-e-ghazal chheDen
mahfuz yahan kab hai ehsas ki daulat bhi
saqi ki nigahon ke masum ishaaron mein
jine ki hain takiden marne ki ijazat bhi
hum kufr-e-mohabbat ke fanus jalate hain
sar aankhon pe apne hai qatil ki ye tohmat bhi
puchhen to 'shamim' un se kya zulm ka hasil hai
ras aa na saki jin ko shaddad ki jannat bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.