zaKHmon ki munajat mein pinhan wo asar tha
zaḳhmoñ kī munājāt meñ pinhāñ vo asar thā
āñkhoñ se Tapaktā huā aañsū bhī guhar thā
ashkoñ kī ma.ayyat meñ the maġhmūm añdhere
sadmāt kī har sej meñ ik ḳhauf kā ghar thā
patte hoñ ki phal sab kā thā ik aur hī aalam
hairat hai magar is pe ki baunā vo shajar thā
darvāze makānoñ ke hue band sar-e-shām
kahte haiñ magar ye ki jiyāloñ kā nagar thā
kaisī vo havas thī ki banī mojib-e-tāzīr
jannat se nikalvā diyā kaisā vo samar thā
zaKHmon ki munajat mein pinhan wo asar tha
aankhon se Tapakta hua aansu bhi guhar tha
ashkon ki mayyat mein the maghmum andhere
sadmat ki har sej mein ek KHauf ka ghar tha
patte hon ki phal sab ka tha ek aur hi aalam
hairat hai magar is pe ki bauna wo shajar tha
darwaze makanon ke hue band sar-e-sham
kahte hain magar ye ki jiyalon ka nagar tha
kaisi wo hawas thi ki bani mojib-e-tazir
jannat se nikalwa diya kaisa wo samar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.