zaKHmon se mera jism yahan chur-chur tha
zaḳhmoñ se merā jism yahāñ chūr-chūr thā
ehsās mere karb kā us ko zarūr thā
patthar uchhāltā rahā har ek kī taraf
kyā jaane kis ḳhayāl kā us ko ġhurūr thā
dil bhī dhaḌak rahā thā gunahgār kī tarah
jaise koī subūt bhī pesh-e-huzūr thā
lagtā hai merī baat se vo bhī qarīb-tar
hālāñki dekhne meñ bahut dūr-dūr thā
kyā jaane kis ḳhayāl se vo chup rahā magar
iz.hār-e-hāl-e-dard bhī lekin zarūr thā
ab us kī zaat meñ ho koī baat to 'nazar'
pahle to us ke rabt meñ kitnā surūr thā
zaKHmon se mera jism yahan chur-chur tha
ehsas mere karb ka us ko zarur tha
patthar uchhaalta raha har ek ki taraf
kya jaane kis KHayal ka us ko ghurur tha
dil bhi dhaDak raha tha gunahgar ki tarah
jaise koi subut bhi pesh-e-huzur tha
lagta hai meri baat se wo bhi qarib-tar
haalanki dekhne mein bahut dur-dur tha
kya jaane kis KHayal se wo chup raha magar
izhaar-e-haal-e-dard bhi lekin zarur tha
ab us ki zat mein ho koi baat to 'nazar'
pahle to us ke rabt mein kitna surur tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.