zalil maslahaton ka asir niklega
zalīl maslahatoñ kā asiir niklegā
ḳhabar nahīñ thī ki tū be-zamīr niklegā
hamāre shahr ke logoñ ko ye umiid na thī
amīr-e-shahr bhī dil kā faqīr niklegā
agar naqāb haTī rāhzan ke chehre se
to kyā ḳhabar thī hamārā amiir niklegā
maiñ jāntā thā tire lab se bad-gumānī meñ
jo lafz niklegā ban kar vo tiir niklegā
sunā hai kūcha-e-shīsha-garāñ se aaj 'anvar'
vo sang-zādoñ kā jamm-e-ġhafīr niklegā
zalil maslahaton ka asir niklega
KHabar nahin thi ki tu be-zamir niklega
hamare shahr ke logon ko ye umid na thi
amir-e-shahr bhi dil ka faqir niklega
agar naqab haTi rahzan ke chehre se
to kya KHabar thi hamara amir niklega
main jaanta tha tere lab se bad-gumani mein
jo lafz niklega ban kar wo tir niklega
suna hai kucha-e-shisha-garan se aaj 'anwar'
wo sang-zadon ka jamm-e-ghafir niklega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.