zalzale mein bandagi KHauf-e-KHuda apni jagah
zalzale meñ bandagī ḳhauf-e-ḳhudā apnī jagah
har koī kam-zarf thā chhoTā-baḌā apnī jagah
kaun jaane lā.egā abr-e-karam sau āfateñ
mor kā ye raqs aur kaalī ghaTā apnī jagah
maiñ bhī dekhūñ is baras kuchh barhamī tūfān kī
mustaqil sī dostī kā vāsta apnī jagah
aañkh kyoñ khultī nahīñ hai sun ke qadmoñ kī pukār
dhuul uḌātā hai bahut vo rāsta apnī jagah
us kī aamad se mire dil kā nagar raushan huā
hogā apne shahr meñ vo rū-siyah apnī jagah
'raunaq' apnī chup kī be-kaifī kā hai lazzat-shanās
imbisāt-e-shohrat-e-bāñg-e-darā apnī jagah
zalzale mein bandagi KHauf-e-KHuda apni jagah
har koi kam-zarf tha chhoTa-baDa apni jagah
kaun jaane laega abr-e-karam sau aafaten
mor ka ye raqs aur kali ghaTa apni jagah
main bhi dekhun is baras kuchh barhami tufan ki
mustaqil si dosti ka wasta apni jagah
aankh kyon khulti nahin hai sun ke qadmon ki pukar
dhul uData hai bahut wo rasta apni jagah
us ki aamad se mere dil ka nagar raushan hua
hoga apne shahr mein wo ru-siyah apni jagah
'raunaq' apni chup ki be-kaifi ka hai lazzat-shanas
imbisat-e-shohrat-e-bang-e-dara apni jagah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.