zaman ke rang mein din-raat kya milata gaya
zamāñ ke rang meñ din-rāt kyā milātā gayā
maiñ apne vaqt se auqāt kyā milātā gayā
badan meñ aa ga.ī juġhrāfiyā.ī tabdīlī
tumhāre haath se maiñ haath kyā milātā gayā
phir is ke baa'd mujhe vaqt ne qubūl kiyā
maiñ din kī shaam se ik raat kyā milātā gayā
ragoñ se nuur mirī phūTne lagā ḳhud hī
lahū meñ ‘izzat-e-sādāt kyā milātā gayā
phir is ke baa'd kahānī ne ḳhud-kushī kar lī
vo dāstān meñ ik maat kyā milātā gayā
vo bādshāh-e-suḳhan sab ko kar gayā hairān
hamārī baat se vo baat kyā milātā gayā
phir us kī ‘izzat-o-takrīm bazm ne dekhī
ġhazal ke sāñche meñ ik naa't kyā milātā gayā
sharāb-e-vasl se har kaif uTh gayā 'tāhir'
hañsī-ḳhushī tire sadmāt kyā milātā gayā
maiñ bad-havās thā 'tāhir' tumhī kaho mujh se
vo ḳhaak meñ mire jazbāt kyā milātā gayā
zaman ke rang mein din-raat kya milata gaya
main apne waqt se auqat kya milata gaya
badan mein aa gai jughrafiyai tabdili
tumhaare hath se main hath kya milata gaya
phir is ke ba'd mujhe waqt ne qubul kiya
main din ki sham se ek raat kya milata gaya
ragon se nur meri phuTne laga KHud hi
lahu mein ‘izzat-e-sadat kya milata gaya
phir is ke ba'd kahani ne KHud-kushi kar li
wo dastan mein ek mat kya milata gaya
wo baadshah-e-suKHan sab ko kar gaya hairan
hamari baat se wo baat kya milata gaya
phir us ki ‘izzat-o-takrim bazm ne dekhi
ghazal ke sanche mein ek na't kya milata gaya
sharab-e-wasl se har kaif uTh gaya 'tahir'
hansi-KHushi tere sadmat kya milata gaya
main bad-hawas tha 'tahir' tumhi kaho mujh se
wo KHak mein mere jazbaat kya milata gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.