zamana aankh se ojhal makan samne hai
zamāna aañkh se ojhal makān sāmne hai
chhipī huī hai haqīqat gumān sāmne hai
nigāh uljhī huī hai vahīñ magar dil ke
khulī zamīn khulā āsmān sāmne hai
khaḌā hai taan ke vo abrūoñ kī shamshīreñ
idhar ye jaan mirī nā-tavān sāmne hai
karūñgā roze kā iz.hār kis tarah tum par
namāz kā to jabīñ par nishān sāmne hai
jhukā.ūñ sar to zamīñ khīñchtī hai sū-e-patāl
uThā.ūñ sar ko to saarā jahān sāmne hai
rukā huā vo koī kārvān sāmne hai
vo chal ke Thahr gayā hai chaTān sāmne hai
mire vajūd ko jumbish kā iḳhtiyār nahīñ
tumhārī āñkhoñ kā ā.īna-dān sāmne hai
maiñ ishtihā kī aziyyat meñ huuñ na khīñch mujhe
abhī hai tuur bahut duur naan sāmne hai
zamana aankh se ojhal makan samne hai
chhipi hui hai haqiqat guman samne hai
nigah uljhi hui hai wahin magar dil ke
khuli zamin khula aasman samne hai
khaDa hai tan ke wo abruon ki shamshiren
idhar ye jaan meri na-tawan samne hai
karunga roze ka izhaar kis tarah tum par
namaz ka to jabin par nishan samne hai
jhukaun sar to zamin khinchti hai su-e-patal
uThaun sar ko to sara jahan samne hai
ruka hua wo koi karwan samne hai
wo chal ke Thahr gaya hai chaTan samne hai
mere wajud ko jumbish ka iKHtiyar nahin
tumhaari aankhon ka aaina-dan samne hai
main ishtiha ki aziyyat mein hun na khinch mujhe
abhi hai tur bahut dur nan samne hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.