zamana ab nae andaz se bedar hai saqi
zamāna ab na.e andāz se bedār hai saaqī
na.e qātil na.e maqtal na.ī ab daar hai saaqī
zarā sī buuñd shabnam kī kahāñ bekār hai saaqī
amīn-e-rang-o-bū hai raunaq-e-gulzār hai saaqī
nahīñ koī harīf-e-shoḳhī-e-afkār hai saaqī
yahāñ fikr-o-nazar kā hausla bekār hai saaqī
khiñchī jis ke lahū se mai usī se aar hai saaqī
uThā letā hai jo sāġhar vahī haqdār hai saaqī
yahāñ baiThe haram meñ ḳhvāb-e-jannat kab talak dekheñ
chhalaktī mai-kade meñ daulat-e-bedār hai saaqī
huī raunaq mire zulmat-kade kī sang-bārī se
sharār-e-sang se raushan dar-o-dīvār hai saaqī
nizām-e-kohna pe ye takiya kaisā be-ḳhabar kyoñ ho
bacho is se ye ik girtī huī dīvār hai saaqī
naqīb-e-daur-e-nau ban kar nayā hai valvala dil kā
jo thā mahkūm ḳhvābīda vo ab bedār hai saaqī
tanaffur kī fazāoñ meñ haTāo jām-o-sāġhar ko
yahāñ tak zindagī se bhī hameñ inkār hai saaqī
tire rindoñ ne lalkārā zamāne ke ḳhudāoñ ko
muqaddar ban ga.ī un kī salīb-o-dār hai saaqī
jise ḳhud manzileñ Thokar lagā kar baḌh ga.iiñ aage
kahāñ soyā huā vo qāfila-sālār hai saaqī
jo sīkhe maut kī āñkhoñ meñ āñkheñ Daal kar jiinā
vahī aurāq par tārīḳh ke bedār hai saaqī
karo tāzīm baḌh kar ilm-o-dānish aur hikmat kī
ki hāsil zindagī kā dīda-e-bedār hai saaqī
uTho gaa.eñ mohabbat aur uḳhuvvat ke na.e naġhme
na.ī sahbā nayā sāġhar nayā gulzār hai saaqī
zamana ab nae andaz se bedar hai saqi
nae qatil nae maqtal nai ab dar hai saqi
zara si bund shabnam ki kahan bekar hai saqi
amin-e-rang-o-bu hai raunaq-e-gulzar hai saqi
nahin koi harif-e-shoKHi-e-afkar hai saqi
yahan fikr-o-nazar ka hausla bekar hai saqi
khinchi jis ke lahu se mai usi se aar hai saqi
uTha leta hai jo saghar wahi haqdar hai saqi
yahan baiThe haram mein KHwab-e-jannat kab talak dekhen
chhalakti mai-kade mein daulat-e-bedar hai saqi
hui raunaq mere zulmat-kade ki sang-bari se
sharar-e-sang se raushan dar-o-diwar hai saqi
nizam-e-kohna pe ye takiya kaisa be-KHabar kyon ho
bacho is se ye ek girti hui diwar hai saqi
naqib-e-daur-e-nau ban kar naya hai walwala dil ka
jo tha mahkum KHwabida wo ab bedar hai saqi
tanaffur ki fazaon mein haTao jam-o-saghar ko
yahan tak zindagi se bhi hamein inkar hai saqi
tere rindon ne lalkara zamane ke KHudaon ko
muqaddar ban gai un ki salib-o-dar hai saqi
jise KHud manzilen Thokar laga kar baDh gain aage
kahan soya hua wo qafila-salar hai saqi
jo sikhe maut ki aankhon mein aankhen Dal kar jina
wahi auraq par tariKH ke bedar hai saqi
karo tazim baDh kar ilm-o-danish aur hikmat ki
ki hasil zindagi ka dida-e-bedar hai saqi
uTho gaen mohabbat aur uKHuwwat ke nae naghme
nai sahba naya saghar naya gulzar hai saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.