zamana bit chuka hai palak bhigone ka
zamāna biit chukā hai palak bhigone kā
yuuñ jī rahe haiñ ki mauqa nahīñ hai rone kā
zamīñ bhī narm hai bādal bhī sā’iqa-bar-dosh
yahī to vaqt munāsib hai biij bone kā
ye mā-hasal bhī hameñ habs-e-jāñ banā huā hai
ki ibtidā hī se khaTkā lagā thā khone kā
thake-thakā.e tire bāzuoñ meñ sote haiñ
hameñ pata hai maza reshmī bichhaune kā
'ajīb apnī tabī'at hai in dinoñ 'anjum'
bahāna DhūñD rahī hai udaas hone kā
zamana bit chuka hai palak bhigone ka
yun ji rahe hain ki mauqa nahin hai rone ka
zamin bhi narm hai baadal bhi sa’iqa-bar-dosh
yahi to waqt munasib hai bij bone ka
ye ma-hasal bhi hamein habs-e-jaan bana hua hai
ki ibtida hi se khaTka laga tha khone ka
thake-thakae tere bazuon mein sote hain
hamein pata hai maza reshmi bichhaune ka
'ajib apni tabi'at hai in dinon 'anjum'
bahana DhunD rahi hai udas hone ka
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.