zamana de gaya jo zaKHm umr bhar ke liye
zamāna de gayā jo zaḳhm 'umr bhar ke liye
'ilāj us kā thā dushvār chārāgar ke liye
kare jo raah munavvar ye koī shart nahīñ
diyā zarūr vo rakhtā ho apne ghar ke liye
jo ho sake to karo rahm ḳhalq-e-bārī par
yahī hai zād-e-safar āḳhirī safar ke liye
jinheñ talāsh hai manzil kī dhun ke pakke haiñ
ruke raheñge bhalā kab vo rāhbar ke liye
ḳhatā mu'āf jo karte haiñ zarf vaale haiñ
zarā sā shosha hī kaafī hai fitna-gar ke liye
ḳhulūs-o-pyār mohabbat karam ravādārī
shi'ār chāhiye har sāhib-e-nazar ke liye
shu’ūr-o-fikr-o-nazar inkisār aur tadbīr
bahut zarūrī hai har ek chārāgar ke liye
zamana de gaya jo zaKHm 'umr bhar ke liye
'ilaj us ka tha dushwar chaaragar ke liye
kare jo rah munawwar ye koi shart nahin
diya zarur wo rakhta ho apne ghar ke liye
jo ho sake to karo rahm KHalq-e-bari par
yahi hai zad-e-safar aaKHiri safar ke liye
jinhen talash hai manzil ki dhun ke pakke hain
ruke rahenge bhala kab wo rahbar ke liye
KHata mu'af jo karte hain zarf wale hain
zara sa shosha hi kafi hai fitna-gar ke liye
KHulus-o-pyar mohabbat karam rawadari
shi'ar chahiye har sahib-e-nazar ke liye
shu’ur-o-fikr-o-nazar inkisar aur tadbir
bahut zaruri hai har ek chaaragar ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.