zamana deta hai jis ko waqar ki KHushbu
zamāna detā hai jis ko vaqār kī ḳhushbū
tavāf kartī hai us kā bahār kī ḳhushbū
hamāre hisse meñ aa.ī jo ḳhaar kī ḳhushbū
bahut hī ḳhush thī chaman kī bahār kī ḳhushbū
ḳhulūs-e-dil ke guloñ ke nikhār kī ḳhushbū
vafā ke jism se aatī hai pyaar kī ḳhushbū
chubhā hai us kī hathelī meñ koī ḳhaar zarūr
chaman meñ chīḳh rahī hai bahār kī ḳhushbū
zabān pyaar kī ḳhushbū kī maiñ samajhtā huuñ
mirī zabān samajhtī hai pyaar kī ḳhushbū
sunā rahī hai purānī sharāb kā qissa
dimāġh chaaT rahī hai ḳhumār kī ḳhushbū
tumhāre zehn meñ khilte nahīñ ḳhulūs ke phuul
kahāñ se doge mujhe e.atibār kī ḳhushbū
zabān kaun mohabbat kī boltā hai yahāñ
pasand kis ko hai mere dayār kī ḳhushbū
safar kī saarī thakāvaT 'qamar' maiñ bhuul gayā
pahuñch ke ghar jo milī mujh ko pyaar kī ḳhushbū
zamana deta hai jis ko waqar ki KHushbu
tawaf karti hai us ka bahaar ki KHushbu
hamare hisse mein aai jo KHar ki KHushbu
bahut hi KHush thi chaman ki bahaar ki KHushbu
KHulus-e-dil ke gulon ke nikhaar ki KHushbu
wafa ke jism se aati hai pyar ki KHushbu
chubha hai us ki hatheli mein koi KHar zarur
chaman mein chiKH rahi hai bahaar ki KHushbu
zaban pyar ki KHushbu ki main samajhta hun
meri zaban samajhti hai pyar ki KHushbu
suna rahi hai purani sharab ka qissa
dimagh chaT rahi hai KHumar ki KHushbu
tumhaare zehn mein khilte nahin KHulus ke phul
kahan se doge mujhe eatibar ki KHushbu
zaban kaun mohabbat ki bolta hai yahan
pasand kis ko hai mere dayar ki KHushbu
safar ki sari thakawaT 'qamar' main bhul gaya
pahunch ke ghar jo mili mujh ko pyar ki KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.