zamana guzra hai tufan-e-gham uThae hue
zamāna guzrā hai tūfān-e-ġham uThā.e hue
ġhazal ke parde meñ rūdād-e-dil sunā.e hue
hamīñ the jin se gunāh-e-vafā huā sarzad
khaḌe haiñ daar ke saa.e meñ sar jhukā.e hue
hamāre dil ke sabhī raaz faash karte haiñ
jhukī jhukī sī nazar hoñT kapkapā.e hue
hamāre dil ke añdheroñ kā ġham na kar hamdam
hamāre dam se ye raste haiñ jagmagā.e hue
shumār-e-roz-o-shab-o-māh kis ne rakkhā hai
hazāroñ saal hue un ko dil meñ aa.e hue
guzarte rahte haiñ nazroñ se saarī shab 'mumtāz'
hazāroñ qāfile yādoñ ke sar jhukā.e hue
zamana guzra hai tufan-e-gham uThae hue
ghazal ke parde mein rudad-e-dil sunae hue
hamin the jin se gunah-e-wafa hua sarzad
khaDe hain dar ke sae mein sar jhukae hue
hamare dil ke sabhi raaz fash karte hain
jhuki jhuki si nazar honT kapkapae hue
hamare dil ke andheron ka gham na kar hamdam
hamare dam se ye raste hain jagmagae hue
shumar-e-roz-o-shab-o-mah kis ne rakkha hai
hazaron sal hue un ko dil mein aae hue
guzarte rahte hain nazron se sari shab 'mumtaz'
hazaron qafile yaadon ke sar jhukae hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.