zamana ho gaya hai KHwab dekhe
zamāna ho gayā hai ḳhvāb dekhe
lahū meñ dard kā shab-tāb dekhe
manāzir ko bahut muddat huī hai
nigāhoñ meñ nayā ik baab dekhe
sitāra shaam ko jab aañkh khole
achānak chāñd ko pāyāb dekhe
vo chingārī sī de qurbat kī mujh ko
to phir sūraj kī āb-o-tāb dekhe
ka.ī rāteñ huiiñ khiḌkī meñ ghar kī
ta'alluq kā nayā mahtāb dekhe
maiñ lafzoñ kī na.ī fasleñ ugā.ūñ
vo sannāToñ ke taaza ḳhvāb dekhe
merī āñkhoñ meñ sāvan rang bhar de
mujhe ai kaash vo sairāb dekhe
na vo āvārgī kā shauq 'ahmad'
na koī dasht ko betāb dekhe
zamana ho gaya hai KHwab dekhe
lahu mein dard ka shab-tab dekhe
manazir ko bahut muddat hui hai
nigahon mein naya ek bab dekhe
sitara sham ko jab aankh khole
achanak chand ko payab dekhe
wo chingari si de qurbat ki mujh ko
to phir suraj ki aab-o-tab dekhe
kai raaten huin khiDki mein ghar ki
ta'alluq ka naya mahtab dekhe
main lafzon ki nai faslen ugaun
wo sannaTon ke taza KHwab dekhe
meri aankhon mein sawan rang bhar de
mujhe ai kash wo sairab dekhe
na wo aawargi ka shauq 'ahmad'
na koi dasht ko betab dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.