zamana lakh kahe tum se tum badal jao
zamāna laakh kahe tum se tum badal jaao
tum apne rang zamāne ke muñh pe mal jaao
tumhārī raakh se ubhre koī na.ī tasvīr
agar jale ho to achchhī tarah se jal jaao
dilī tamanna thī merī ki laḌkhaḌā jā.ūñ
gire huoñ meñ kisī ne kahā sañbhal jaao
ye shahr raat meñ bahrūp dhaar letā hai
yahāñ se shaam se pahle kahīñ nikal jaao
zamana lakh kahe tum se tum badal jao
tum apne rang zamane ke munh pe mal jao
tumhaari rakh se ubhre koi nai taswir
agar jale ho to achchhi tarah se jal jao
dili tamanna thi meri ki laDkhaDa jaun
gire huon mein kisi ne kaha sanbhal jao
ye shahr raat mein bahrup dhaar leta hai
yahan se sham se pahle kahin nikal jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.