zamana rashk kare wo suKHan ke jauhar khinch
zamāna rashk kare vo suḳhan ke jauhar khīñch
qalam kā haq to adā kar koī to mahshar khīñch
nafas na anjuman-e-ārzū se bāhar khīñch
zamīñ asad kī hai manzar jo khīñch haT kar khīñch
ajiib shakl hai maqtal meñ kyā kiyā jaa.e
har ek shaḳhs kī ḳhvāhish hai tū hī ḳhanjar khīñch
ḳhizāñ to dil ke dikhāne kā ik bahāna hai
maza to jab hai bahāroñ ko apne andar khīñch
ye kapkapāte hue lab koī ilaaj nahīñ
zabāñ ko khol mohabbat kā raaz bāhar khīñch
gunāhgār huuñ mujh ko hai e'tirāf magar
mire ḳhudā mire sar par karam kī chādar khīñch
tirī ġhazal ne tujhe surḳh-rū kiyā 'shāhid'
so tajraboñ ke samundar se yūñhī gauhar khīñch
zamana rashk kare wo suKHan ke jauhar khinch
qalam ka haq to ada kar koi to mahshar khinch
nafas na anjuman-e-arzu se bahar khinch
zamin asad ki hai manzar jo khinch haT kar khinch
ajib shakl hai maqtal mein kya kiya jae
har ek shaKHs ki KHwahish hai tu hi KHanjar khinch
KHizan to dil ke dikhane ka ek bahana hai
maza to jab hai bahaaron ko apne andar khinch
ye kapkapate hue lab koi ilaj nahin
zaban ko khol mohabbat ka raaz bahar khinch
gunahgar hun mujh ko hai e'tiraf magar
mere KHuda mere sar par karam ki chadar khinch
teri ghazal ne tujhe surKH-ru kiya 'shahid'
so tajrabon ke samundar se yunhi gauhar khinch
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.