zamana sath guzara akeliyan na khulin
zamāna saath guzārā akeliyāñ na khulīñ
udaas hone se pahle saheliyāñ na khulīñ
ġhamoñ kī dhuup meñ phir be-namak hue chehre
nigāh bujh ga.ī rañgoñ kī thailiyāñ na khulīñ
lipaT ke ro.e amar-bel se dar-o-dīvār
palaT ke aa.e musāfir haveliyāñ na khulīñ
kitāb-e-zīst ke saare savāl be-ma.anī
javāb ulajhne lage aur paheliyāñ na khulīñ
havā ke lams meñ tāsīr-e-dast-e-yār kahāñ
nazar ne laakh pukārā chañbeliyāñ na khulīñ
hinā.ī ho ke koī naam phir bhī bhed rahā
sabā pe us kī mahaktī hatheliyāñ na khulīñ
zamana sath guzara akeliyan na khulin
udas hone se pahle saheliyan na khulin
ghamon ki dhup mein phir be-namak hue chehre
nigah bujh gai rangon ki thailiyan na khulin
lipaT ke roe amar-bel se dar-o-diwar
palaT ke aae musafir haweliyan na khulin
kitab-e-zist ke sare sawal be-mani
jawab ulajhne lage aur paheliyan na khulin
hawa ke lams mein tasir-e-dast-e-yar kahan
nazar ne lakh pukara chanbeliyan na khulin
hinai ho ke koi nam phir bhi bhed raha
saba pe us ki mahakti hatheliyan na khulin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.