zamane bhar ko nai tab-o-tab dikha na sake
zamāne bhar ko na.ī tāb-o-tab dikhā na sake
vo shaḳhs kyā jo ġhamoñ meñ bhī muskurā na sake
ham apne shahr meñ rahte haiñ ajnabī kī tarah
magar ye baat kisī ko bhī ham batā na sake
guzarte vaqt kī mānind hai aaj kā insāñ
sadā.eñ de ke use ham kabhī bulā na sake
zarūr ranjish-e-bejā hai aap ko ham se
mile gale se magar dil kabhī milā na sake
tumhāre va.ade hasīñ bhī the dil-fareb bhī the
hamāre ghar se ġharībī magar haTā na sake
jo baḳhshte rahe duniyā ko nuur kī daulat
vo apne ghar meñ koī sham.a tak jalā na sake
rahe haiñ 'gauhar'-e-nāyāb kī tarah lekin
ham apne aap ko showcase meñ sajā na sake
zamane bhar ko nai tab-o-tab dikha na sake
wo shaKHs kya jo ghamon mein bhi muskura na sake
hum apne shahr mein rahte hain ajnabi ki tarah
magar ye baat kisi ko bhi hum bata na sake
guzarte waqt ki manind hai aaj ka insan
sadaen de ke use hum kabhi bula na sake
zarur ranjish-e-beja hai aap ko hum se
mile gale se magar dil kabhi mila na sake
tumhaare wade hasin bhi the dil-fareb bhi the
hamare ghar se gharibi magar haTa na sake
jo baKHshte rahe duniya ko nur ki daulat
wo apne ghar mein koi shama tak jala na sake
rahe hain 'gauhar'-e-nayab ki tarah lekin
hum apne aap ko showcase mein saja na sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.