zamane ho gae ummid-war hain hum log
zamāne ho ga.e ummīd-vār haiñ ham log
sitam-kashān-e-ġham-e-rozgār haiñ ham log
junūn kaam na aayā ki saare ḳhvāb-o-ḳhayāl
ulajh ke rah ga.e jin se vo ḳhaar haiñ ham log
jise tajassus-e-sabr-e-gurez-pā kahiye
isī ḳhalish isī ġham kā shikār haiñ ham log
sharāb-e-tajraba-e-talḳh pī chuke haiñ ham
sañbhal ga.e haiñ bahut hoshiyār haiñ ham log
na jaane kab kahāñ le jaa.e kab kahāñ ruk jaa.e
ye raḳhsh-e-umr ki jis par savār haiñ ham log
qasam tasalsul-e-lail-o-nahār kī 'yaktā'
sitam-kashān-e-ġham-e-intizār haiñ ham log
zamane ho gae ummid-war hain hum log
sitam-kashan-e-gham-e-rozgar hain hum log
junun kaam na aaya ki sare KHwab-o-KHayal
ulajh ke rah gae jin se wo KHar hain hum log
jise tajassus-e-sabr-e-gurez-pa kahiye
isi KHalish isi gham ka shikar hain hum log
sharab-e-tajraba-e-talKH pi chuke hain hum
sanbhal gae hain bahut hoshiyar hain hum log
na jaane kab kahan le jae kab kahan ruk jae
ye raKHsh-e-umr ki jis par sawar hain hum log
qasam tasalsul-e-lail-o-nahaar ki 'yakta'
sitam-kashan-e-gham-e-intizar hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.