zamane jis qadar ji chahe le le imtihan humse
zamane jis qadar ji chahe le le imtihan humse
Ghulam Dastageer Sharar
MORE BYGhulam Dastageer Sharar
zamāne jis qadar jī chāhe le le imtihāñ ham se
badal jā.egā to badlī na jā.egī zabāñ ham se
basāyā hai ġhamoñ ne jab se apne ḳhāna-e-dil ko
masarrat ruuTh kar chal dī ḳhudā jaane kahāñ ham se
sunāne ko to ham bhī dāstāñ apnī sunā dete
kareñ kyā pūchhne vaalā to ho koī yahāñ ham se
vo jab se mil ke bichhḌe haiñ to ye mahsūs hotā hai
kisī ne chhīn lī jaise hayāt-e-jāvidāñ ham se
shab-e-furqat basā lete haiñ vo duniyā tasavvur kī
tirī tasvīr tak bhī baat kartī hai jahāñ ham se
qarīb-e-manzil-e-maqsūd phir qismat ne bhaTkāyā
bichhaḌ kar rah ga.e ham kārvāñ se kārvāñ ham se
'sharar' apnā qafas ik din yaqīñ hai gulsitāñ hogā
bahāreñ ḳhud gale milne ko ā.eñgī yahāñ ham se
zamane jis qadar ji chahe le le imtihan hum se
badal jaega to badli na jaegi zaban hum se
basaya hai ghamon ne jab se apne KHana-e-dil ko
masarrat ruTh kar chal di KHuda jaane kahan hum se
sunane ko to hum bhi dastan apni suna dete
karen kya puchhne wala to ho koi yahan hum se
wo jab se mil ke bichhDe hain to ye mahsus hota hai
kisi ne chhin li jaise hayat-e-jawidan hum se
shab-e-furqat basa lete hain wo duniya tasawwur ki
teri taswir tak bhi baat karti hai jahan hum se
qarib-e-manzil-e-maqsud phir qismat ne bhaTkaya
bichhaD kar rah gae hum karwan se karwan hum se
'sharar' apna qafas ek din yaqin hai gulsitan hoga
bahaaren KHud gale milne ko aaengi yahan hum se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.