zamane ke har ek wahm-o-guman se dur rahta hun
![Saleem Akhtar Malik Saleem Akhtar Malik](https://www.rekhta.org/Content/Images/quillm.png)
zamane ke har ek wahm-o-guman se dur rahta hun
Saleem Akhtar Malik
MORE BYSaleem Akhtar Malik
zamāne ke har ik vahm-o-gumāñ se duur rahtā huuñ
maiñ dānista amīr-e-kārvāñ se duur rahtā huuñ
nahīñ ab mujh meñ tāqat hijrateñ bardāsht karne kī
koī aalam bhī ho maiñ imtihāñ se duur rahtā huuñ
bahāreñ bhī ḳhizāñ ke ruup meñ jalva dikhātī haiñ
isī baa.is maiñ sehn-e-gulsitāñ se duur rahtā huuñ
mujhe ye zindagī kī Dor lagtī hai bahut pyārī
tire ḳhud-sāḳhta tīr-o-kamāñ se duur rahtā huuñ
koī roke hai mujh ko terī jānib pesh-qadmī se
zamīñ kā rizq huuñ aur āsmāñ se duur rahtā huuñ
agarche hai hunar kī chāshnī mere rag-o-pai meñ
na jaane kyoñ had-e-kaun-o-makāñ se duur rahtā huuñ
sab us kī guftugū sunñe kā dil meñ shauq rakhte haiñ
magar maiñ huuñ ki us jādū-bayāñ se duur rahtā huuñ
nahīñ chaltī ta.āqub meñ mire ab gardish-e-daurāñ
maiñ 'aḳhtar' halqa-e-āvārgāñ se duur rahtā huuñ
zamane ke har ek wahm-o-guman se dur rahta hun
main danista amir-e-karwan se dur rahta hun
nahin ab mujh mein taqat hijraten bardasht karne ki
koi aalam bhi ho main imtihan se dur rahta hun
bahaaren bhi KHizan ke rup mein jalwa dikhati hain
isi bais main sehn-e-gulsitan se dur rahta hun
mujhe ye zindagi ki Dor lagti hai bahut pyari
tere KHud-saKHta tir-o-kaman se dur rahta hun
koi roke hai mujh ko teri jaanib pesh-qadmi se
zamin ka rizq hun aur aasman se dur rahta hun
agarche hai hunar ki chashni mere rag-o-pai mein
na jaane kyon had-e-kaun-o-makan se dur rahta hun
sab us ki guftugu sunne ka dil mein shauq rakhte hain
magar main hun ki us jadu-bayan se dur rahta hun
nahin chalti taaqub mein mere ab gardish-e-dauran
main 'aKHtar' halqa-e-awargan se dur rahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.