zamane ke taghaful se jo har lamha bikharti hai
zamāne ke taġhāful se jo har lamha bikhartī hai
sunā hai aap ke dar par vahī qismat sañvartī hai
tasavvur se hī jis ke āj-kal ye ruuh Dartī hai
nazar ke sāmne yā-rab vahī sūrat ubhartī hai
kamī hogī na hargiz āsmāñ tere ḳhazāne meñ
zarā sī chāñdnī gar mere āñgan meñ utartī hai
ka.ī dariyāoñ kā paanī yaqīnan us se kam hogā
musībat jis qadar aañsū mirī āñkhoñ meñ bhartī hai
vahīñ apnī bhī kashtī aa ga.ī tūfāñ kī shiddat se
jahāñ par zindagī barbād ho kar aah bhartī hai
mahakte the mire din raat jis kī mezbānī se
vo ḳhushbū āj-kal jaane kahāñ parvāz kartī hai
sunā.eñ kyā ham apne haal ko bas muḳhtasar 'tashna'
hamārī zindagī bhī āj-kal yūñhī guzartī hai
zamane ke taghaful se jo har lamha bikharti hai
suna hai aap ke dar par wahi qismat sanwarti hai
tasawwur se hi jis ke aaj-kal ye ruh Darti hai
nazar ke samne ya-rab wahi surat ubharti hai
kami hogi na hargiz aasman tere KHazane mein
zara si chandni gar mere aangan mein utarti hai
kai dariyaon ka pani yaqinan us se kam hoga
musibat jis qadar aansu meri aankhon mein bharti hai
wahin apni bhi kashti aa gai tufan ki shiddat se
jahan par zindagi barbaad ho kar aah bharti hai
mahakte the mere din raat jis ki mezbani se
wo KHushbu aaj-kal jaane kahan parwaz karti hai
sunaen kya hum apne haal ko bas muKHtasar 'tashna'
hamari zindagi bhi aaj-kal yunhi guzarti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.