zamane ki baaton se be-dil nahin hun
zamāne kī bātoñ se be-dil nahīñ huuñ
jo maujoñ se TuuTe vo sāhil nahīñ huuñ
taḌaptā huuñ apnī haqīqat samajh kar
qatīl-e-mashiyyat huuñ bismil nahīñ huuñ
hai ḳhāk-e-madīna se bhī mujh ko nisbat
jo mil jaa.e paanī meñ vo gil nahīñ huuñ
tujhe māñgtā huuñ tujhe dene vaale
bhikārī nahīñ huuñ maiñ saa.il nahīñ huuñ
mire haath meñ apnā dast-e-saḳhā de
ye kah de saḳhāvat ke qābil nahīñ huuñ
maiñ apnī haqīqat samajhtā huuñ ai dil
maiñ apnī haqīqat se ġhāfil nahīñ huuñ
ye kah kar nikal aaya zindāñ se bāhar
maiñ pāband-e-tauq-o-salāsil nahīñ huuñ
vo de azm-e-mohkam mujhe dene vaale
pukār uTThe mushkil ki mushkil nahīñ huuñ
'girāmī' bhikārī huuñ ḳhvāja ke dar kā
kisī ġhair ke dar kā saa.il nahīñ huuñ
zamane ki baaton se be-dil nahin hun
jo maujon se TuTe wo sahil nahin hun
taDapta hun apni haqiqat samajh kar
qatil-e-mashiyyat hun bismil nahin hun
hai KHak-e-madina se bhi mujh ko nisbat
jo mil jae pani mein wo gil nahin hun
tujhe mangta hun tujhe dene wale
bhikari nahin hun main sail nahin hun
mere hath mein apna dast-e-saKHa de
ye kah de saKHawat ke qabil nahin hun
main apni haqiqat samajhta hun ai dil
main apni haqiqat se ghafil nahin hun
ye kah kar nikal aaya zindan se bahar
main paband-e-tauq-o-salasil nahin hun
wo de azm-e-mohkam mujhe dene wale
pukar uTThe mushkil ki mushkil nahin hun
'girami' bhikari hun KHwaja ke dar ka
kisi ghair ke dar ka sail nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.