zamane ki koi parwa diwane se nahin hoti
zamāne kī koī parvā divāne se nahīñ hotī
divāne kī bhī taqlīd is zamāne se nahīñ hotī
jahannum se Darāte ho ḳhudā mahbūb bhī to hai
ibādat dil se hotī hai Darāne se nahīñ hotī
vahī izzat bhī detā hai vahī zillat bhī detā hai
koī tāqat ghaTāne aur baḌhāne se nahīñ hotī
diloñ ke rabt-e-bāham se mohabbat ghaTtī baḌhtī hai
ye ik jazba hai chāhat aane jaane se nahīñ hotī
gulistāñ kī mahak se dil kī shādābī to baḌhtī hai
ye sūrat kāġhazī buuTe sajāne se nahīñ hotī
idhar vo naam lete haiñ udhar āvāz aatī hai
mohabbat dil se hotī hai jatāne se nahīñ hotī
faqat dil halkā hotā hai sukūñ miltā hai kuchh lamhe
kamī ġham meñ 'azīm' aañsū bahāne se nahīñ hotī
zamane ki koi parwa diwane se nahin hoti
diwane ki bhi taqlid is zamane se nahin hoti
jahannum se Daraate ho KHuda mahbub bhi to hai
ibaadat dil se hoti hai Darane se nahin hoti
wahi izzat bhi deta hai wahi zillat bhi deta hai
koi taqat ghaTane aur baDhane se nahin hoti
dilon ke rabt-e-baham se mohabbat ghaTti baDhti hai
ye ek jazba hai chahat aane jaane se nahin hoti
gulistan ki mahak se dil ki shadabi to baDhti hai
ye surat kaghazi buTe sajaane se nahin hoti
idhar wo nam lete hain udhar aawaz aati hai
mohabbat dil se hoti hai jatane se nahin hoti
faqat dil halka hota hai sukun milta hai kuchh lamhe
kami gham mein 'azim' aansu bahane se nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.