zamane ki satai KHud-kushi hai
zamāne kī satā.ī ḳhud-kushī hai
mohabbat ibtidā.ī ḳhud-kushī hai
jahāñ saffāk āñkheñ ghaat meñ hoñ
vahāñ chehra-numā.ī ḳhud-kushī hai
maiñ raa.e ishq par ab aur kyā duuñ
kahā to hai ki bhaa.ī ḳhud-kushī hai
maiñ us ko phuul de kar ḳhush nahīñ huuñ
ki ye bhī dil-rubā.ī ḳhud-kushī hai
ye isti.māl karne par khulā hai
ki ḳhushbū kīmyā.ī ḳhud-kushī hai
shikārī ghaat meñ baiThā ho to phir
parinde kī rihā.ī ḳhud-kushī hai
kisī titlī kā mar jaanā azīzo
haqīqat meñ nisā.ī ḳhud-kushī hai
zamane ki satai KHud-kushi hai
mohabbat ibtidai KHud-kushi hai
jahan saffak aankhen ghat mein hon
wahan chehra-numai KHud-kushi hai
main rae ishq par ab aur kya dun
kaha to hai ki bhai KHud-kushi hai
main us ko phul de kar KHush nahin hun
ki ye bhi dil-rubai KHud-kushi hai
ye istimal karne par khula hai
ki KHushbu kimyai KHud-kushi hai
shikari ghat mein baiTha ho to phir
parinde ki rihai KHud-kushi hai
kisi titli ka mar jaana azizo
haqiqat mein nisai KHud-kushi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.