zamane lauT ke aaenge etibar ke bhi
zamane lauT ke aaenge etibar ke bhi
Khwaja Ghulamussyedain Rabbani
MORE BYKhwaja Ghulamussyedain Rabbani
zamāne lauT ke ā.eñge e'tibār ke bhī
janāb miliye kisī din naqāb utaar ke bhī
vo haq hī ham ne jatāyā nahīñ kabhī jānāñ
hamāre haath meñ mausam the iḳhtiyār ke bhī
charāġh ham ne jalā.e nahīñ haiñ ab kī baar
ki mas.ale the havāoñ pe e'tibār ke bhī
ye bāġhbān 'ajab haiñ ḳhizāñ hī likhte haiñ
likhe the apne muqaddar meñ din bahār ke bhī
nadī kahāñ se chalī parbatoñ pe kis se milī
ye raaz dafn hai siine meñ ābshār ke bhī
ab un ko kaun se alqāb se pukārā jaa.e
jo tājdār haiñ saudā diloñ kā haar ke bhī
sunā hai TuuTe hue dil meñ hai tirā maskan
ḳhud apne siine meñ dekhā tujhe pukār ke bhī
ki jāñ-nisāroñ se māñgā hai shahriyat kā subūt
irāde nek nahīñ lagte shahryār ke bhī
sitam to apnī jagah haiñ sitam ke dukh taslīm
uThāne paḌte haiñ ehsān ġham-gusār ke bhī
zamane lauT ke aaenge e'tibar ke bhi
janab miliye kisi din naqab utar ke bhi
wo haq hi hum ne jataya nahin kabhi jaanan
hamare hath mein mausam the iKHtiyar ke bhi
charagh hum ne jalae nahin hain ab ki bar
ki masale the hawaon pe e'tibar ke bhi
ye baghban 'ajab hain KHizan hi likhte hain
likhe the apne muqaddar mein din bahaar ke bhi
nadi kahan se chali parbaton pe kis se mili
ye raaz dafn hai sine mein aabshaar ke bhi
ab un ko kaun se alqab se pukara jae
jo tajdar hain sauda dilon ka haar ke bhi
suna hai TuTe hue dil mein hai tera maskan
KHud apne sine mein dekha tujhe pukar ke bhi
ki jaan-nisaron se manga hai shahriyat ka subut
irade nek nahin lagte shahryar ke bhi
sitam to apni jagah hain sitam ke dukh taslim
uThane paDte hain ehsan gham-gusar ke bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.