zamane mein kisi se ab wafaen kaun karta hai
zamāne meñ kisī se ab vafā.eñ kaun kartā hai
yahāñ sab zaḳhm dete haiñ davā.eñ kaun kartā hai
gila-shikva nahīñ koī magar sab kuchh samajhtā huuñ
bujhāne ko diye mere havā.eñ kaun kartā hai
luTā ho kārvāñ jis kā ujāloñ ke ishāroñ se
añdherī raat chalne kī ḳhatā.eñ kaun kartā hai
yahāñ insān kī chhoḌo parinde bhī samajhte haiñ
mohabbat kaun kartā hai jafā.eñ kaun kartā hai
kisī se bhuul kar apnā kabhī mat dard-e-dil kahnā
yahāñ maañ ke alāva ab duā.eñ kaun kartā hai
zamane mein kisi se ab wafaen kaun karta hai
yahan sab zaKHm dete hain dawaen kaun karta hai
gila-shikwa nahin koi magar sab kuchh samajhta hun
bujhane ko diye mere hawaen kaun karta hai
luTa ho karwan jis ka ujalon ke ishaaron se
andheri raat chalne ki KHataen kaun karta hai
yahan insan ki chhoDo parinde bhi samajhte hain
mohabbat kaun karta hai jafaen kaun karta hai
kisi se bhul kar apna kabhi mat dard-e-dil kahna
yahan man ke alawa ab duaen kaun karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.