zamane teri KHatir dekh ye kya kar liya maine
zamāne terī ḳhātir dekh ye kyā kar liyā maiñ ne
ki vo be-parda aa.e aur parda kar liyā maiñ ne
nigāhoñ se kisī kī dil kā saudā kar liyā maiñ ne
ġhamoñ kī bhiiḌ meñ bhī ḳhud ko tanhā kar liyā maiñ ne
koī dekhe mirī dīvāngī-e-shauq kā aalam
ki un ko sāmne biThlā ke sajda kar liyā maiñ ne
numā.ish se bhī zaḳhm-e-dil kī hāsil kuchh nahīñ 'naġhmī'
ḳhudā.ī meñ butoñ kī ḳhud ko rusvā kar liyā maiñ nai
zamane teri KHatir dekh ye kya kar liya main ne
ki wo be-parda aae aur parda kar liya main ne
nigahon se kisi ki dil ka sauda kar liya main ne
ghamon ki bhiD mein bhi KHud ko tanha kar liya main ne
koi dekhe meri diwangi-e-shauq ka aalam
ki un ko samne biThla ke sajda kar liya main ne
numaish se bhi zaKHm-e-dil ki hasil kuchh nahin 'naghmi'
KHudai mein buton ki KHud ko ruswa kar liya main nai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.