zamin bech ke tare basana chahte hain
zamīn bech ke taare basānā chāhte haiñ
ye kaun log ḳhalāoñ meñ jaanā chāhte haiñ
kabhī vo sher kahā kartā thā hamāre liye
ham us ke sher usī ko sunānā chāhte haiñ
vo chāhe jhuuT meñ iqrār to kare ik baar
ham us ke jhuuT pe īmān laanā chāhte haiñ
ham us kī aañkh meñ rah kar bhī āñsuoñ meñ rahe
jise ham apnī ragoñ meñ samānā chāhte haiñ
hameñ ḳhabar hai ye duniyā tabāh kar deñge
ham aise logoñ kā shajara batānā chāhte haiñ
ye dost dost nahīñ haiñ ye dil ke kaale log
munāfiqīn hameñ āzmānā chāhte haiñ
hamāre naam pe sāñsoñ ko thāmne vaale
hamāre ḳhvāb bhī 'bushrā' bhulānā chāhte haiñ
zamin bech ke tare basana chahte hain
ye kaun log KHalaon mein jaana chahte hain
kabhi wo sher kaha karta tha hamare liye
hum us ke sher usi ko sunana chahte hain
wo chahe jhuT mein iqrar to kare ek bar
hum us ke jhuT pe iman lana chahte hain
hum us ki aankh mein rah kar bhi aansuon mein rahe
jise hum apni ragon mein samana chahte hain
hamein KHabar hai ye duniya tabah kar denge
hum aise logon ka shajara batana chahte hain
ye dost dost nahin hain ye dil ke kale log
munafiqin hamein aazmana chahte hain
hamare nam pe sanson ko thamne wale
hamare KHwab bhi 'bushra' bhulana chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.