jo zimmedariyan qismat ne mere sar rakh din
jo zimmedāriyāñ qismat ne mere sar rakh diiñ
to phir nazākateñ maiñ ne uThā ke ghar rakh diiñ
tumhāre baad zamāne meñ aur kyā dekheñ
lo ham ne chehre se āñkheñ utaar kar rakh diiñ
phir aaj umr-e-guzishta kī yaad aa.ī hai
phir apne maazī kī tasvīreñ dekh kar rakh diiñ
yaqīn hogā hameñ ab tumhāre hone kā
lo ham ne uñgliyāñ jalte charāġh par rakh diiñ
chhupā.e baiThī huuñ siine meñ ek muddat se
vo bāteñ dil kī tire sāmne agar rakh diiñ
jo zimmedariyan qismat ne mere sar rakh din
to phir nazakaten main ne uTha ke ghar rakh din
tumhaare baad zamane mein aur kya dekhen
lo hum ne chehre se aankhen utar kar rakh din
phir aaj umr-e-guzishta ki yaad aai hai
phir apne mazi ki taswiren dekh kar rakh din
yaqin hoga hamein ab tumhaare hone ka
lo hum ne ungliyan jalte charagh par rakh din
chhupae baiThi hun sine mein ek muddat se
wo baaten dil ki tere samne agar rakh din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.