zamin darham-o-barham dikhai dene lagi
zamīn darham-o-barham dikhā.ī dene lagī
umīd-e-vasl jo mub.ham dikhā.ī dene lagī
hai qahqahoñ ke pas-e-pusht girya-e-paiham
mirī ḳhushī bhī mujhe ġham dikhā.ī dene lagī
makān-e-ishq kā me'mār jab se ruuTh gayā
fasīl-e-zīst mujhe ḳham dikhā.ī dene lagī
udaas guzre haiñ mere ka.ī pahar paiham
jo ek pal ko tirī aañkh nam dikhā.ī dene lagī
ye kis kī pyaas ke sho'le gire haiñ paanī par
ki nahar qatra se bhī kam dikhā.ī dene lagī
zamin darham-o-barham dikhai dene lagi
umid-e-wasl jo mubham dikhai dene lagi
hai qahqahon ke pas-e-pusht girya-e-paiham
meri KHushi bhi mujhe gham dikhai dene lagi
makan-e-ishq ka me'mar jab se ruTh gaya
fasil-e-zist mujhe KHam dikhai dene lagi
udas guzre hain mere kai pahar paiham
jo ek pal ko teri aankh nam dikhai dene lagi
ye kis ki pyas ke sho'le gire hain pani par
ki nahar qatra se bhi kam dikhai dene lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.