zamin dil pe nai khulti hai ada-e-suKHan
zamīn dil pe na.ī khultī hai adā-e-suḳhan
ki ham kuchh aur hī jāneñ haiñ māvārā-e-suḳhan
fasāna-e-dil-o-jāñ kis pe baar hotā hai
magar kabhī to suḳhan chāhiye barā-e-suḳhan
usī pe khulte haiñ ārā.ish-e-ḳhayāl ke dar
hai jis ke aqd-e-irādat meñ dil-rubā-e-suḳhan
tire baġhair bhī ye guftugū mukammal hai
tire baġhair bhī ḳhālī nahīñ sarā-e-suḳhan
saje-sajā.e makāñ pal meñ ho ga.e mismār
bayān-e-dard kī kis tarah taab laa.e suḳhan
ba-juz havā-e-hunar kuchh nahīñ matā-e-hayāt
hamāre ba.ad kaheñge sabhī ki haa.e suḳhan
zamin dil pe nai khulti hai ada-e-suKHan
ki hum kuchh aur hi jaanen hain mawara-e-suKHan
fasana-e-dil-o-jaan kis pe bar hota hai
magar kabhi to suKHan chahiye bara-e-suKHan
usi pe khulte hain aaraish-e-KHayal ke dar
hai jis ke aqd-e-iradat mein dil-ruba-e-suKHan
tere baghair bhi ye guftugu mukammal hai
tere baghair bhi KHali nahin sara-e-suKHan
saje-sajae makan pal mein ho gae mismar
bayan-e-dard ki kis tarah tab lae suKHan
ba-juz hawa-e-hunar kuchh nahin mata-e-hayat
hamare baad kahenge sabhi ki hae suKHan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.