zamin-e-chashm ke sine pe panw dharte ashk
zamīn-e-chashm ke siine pe paañv dharte ashk
jahān-e-hijr se shorīda-sar guzarte ashk
ġhanīm-e-naġhma-e-ishrat ko kyā dikhā.ī deñ
ġharīb-e-shahr kī āñkhoñ meñ raqs karte ashk
masīh ban ke libās-e-visāl utrā hai
kisī kī shaal pe gir kar jiye haiñ marte ashk
namak hai aañkh kā sat-rangiyāñ nahātā huā
qabā-e-zaḳhm ke reshoñ meñ rang bharte ashk
hamārā girya muaḳhḳhar huā tasallī se
dilāsa detī nazar se chhupe haiñ Darte ashk
zamin-e-chashm ke sine pe panw dharte ashk
jahan-e-hijr se shorida-sar guzarte ashk
ghanim-e-naghma-e-ishrat ko kya dikhai den
gharib-e-shahr ki aankhon mein raqs karte ashk
masih ban ke libas-e-visal utra hai
kisi ki shaal pe gir kar jiye hain marte ashk
namak hai aankh ka sat-rangiyan nahata hua
qaba-e-zaKHm ke reshon mein rang bharte ashk
hamara girya muaKHKHar hua tasalli se
dilasa deti nazar se chhupe hain Darte ashk
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.