zamin-e-dil mein mohabbat ki fasl boi gai
zamīn-e-dil meñ mohabbat kī fasl boī ga.ī
so ab kī baar musībat kī fasl boī ga.ī
chaleñ to pairoñ ke chhāle bhī bol uThte haiñ
safar meñ jaise mashaqqat kī fasl boī ga.ī
gilā zamīñ se karūñ kyā ki āsmān pe bhī
mire janam pe shikāyat kī fasl boī ga.ī
tumhārā rizq to aanā hai āsmāñ se magar
mire liye to aziyyat kī fasl boī ga.ī
isī liye to mayassar nahīñ sukūn mujhe
mire vajūd meñ vahshat kī fasl boī ga.ī
ajab nahīñ hai ki jaldī meñ chhoḌ duuñ duniyā
har ek shaḳhs meñ ujlat kī fasl boī ga.ī
tumheñ ḳhabar hai ki ham sāhilī parinde haiñ
hamāre vāste hijrat kī fasl boī ga.ī
uge hue the har ik samt aa.ine 'ahmad'
baḌe yaqīn se hairat kī fasl boī ga.ī
zamin-e-dil mein mohabbat ki fasl boi gai
so ab ki bar musibat ki fasl boi gai
chalen to pairon ke chhaale bhi bol uThte hain
safar mein jaise mashaqqat ki fasl boi gai
gila zamin se karun kya ki aasman pe bhi
mere janam pe shikayat ki fasl boi gai
tumhaara rizq to aana hai aasman se magar
mere liye to aziyyat ki fasl boi gai
isi liye to mayassar nahin sukun mujhe
mere wajud mein wahshat ki fasl boi gai
ajab nahin hai ki jaldi mein chhoD dun duniya
har ek shaKHs mein ujlat ki fasl boi gai
tumhein KHabar hai ki hum sahili parinde hain
hamare waste hijrat ki fasl boi gai
uge hue the har ek samt aaine 'ahmad'
baDe yaqin se hairat ki fasl boi gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.