zamin-e-hijr mein gardan talak gaDa hua hun
zamin-e-hijr mein gardan talak gaDa hua hun
Faisal Nadeem Faisal
MORE BYFaisal Nadeem Faisal
zamīn-e-hijr meñ gardan talak gaḌā huā huuñ
maiñ tujh ko haar ke ab soch meñ paḌā huā huuñ
har ek samt hai shorish balā kī vahshat hai
maiñ dasht-zād huuñ aur shahr meñ khaḌā huā huuñ
ḳhudā kā shukr ki zebā.ishoñ kā huuñ baa.is
ye aur baat ki pāzeb meñ jaḌā huā huuñ
ye ishq maut ke asbāb paidā kartā hai
maiñ tiis saal se is baat par aḌā huā huuñ
kiyā thā aap ne sarvat kā zikr ḳhair jahāñ
maiñ ehtirām meñ ab tak vahīñ khaḌā huā huuñ
ḳhudā kare ki tujhe bandagī pasand aa.e
maiñ ḳhaak ho ke tirī raah meñ paḌā huā huuñ
maiñ qahqahoñ ke qabīle kā aadmī thā magar
ajiib hai ki gale dasht ke paḌā huā huuñ
batā rahe the ye 'faisal' imaam ishq mujhe
maiñ intizār-e-musalsal se chiḌā huā huuñ
zamin-e-hijr mein gardan talak gaDa hua hun
main tujh ko haar ke ab soch mein paDa hua hun
har ek samt hai shorish bala ki wahshat hai
main dasht-zad hun aur shahr mein khaDa hua hun
KHuda ka shukr ki zebaishon ka hun bais
ye aur baat ki pazeb mein jaDa hua hun
ye ishq maut ke asbab paida karta hai
main tis sal se is baat par aDa hua hun
kiya tha aap ne sarwat ka zikr KHair jahan
main ehtiram mein ab tak wahin khaDa hua hun
KHuda kare ki tujhe bandagi pasand aae
main KHak ho ke teri rah mein paDa hua hun
main qahqahon ke qabile ka aadmi tha magar
ajib hai ki gale dasht ke paDa hua hun
bata rahe the ye 'faisal' imam ishq mujhe
main intizar-e-musalsal se chiDa hua hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.