zamin-e-hijr pe KHwahish ke bij bota nahin
zamīn-e-hijr pe ḳhvāhish ke biij botā nahīñ
maiñ aisī sochoñ kī laḌiyāñ kabhī pirotā nahīñ
hai saaya zor taḳhayyul pe ek devī kā
ḳhilāf-e-husn maiñ likkhūñ to she'r hotā nahīñ
tire havāle kiyā ḳhud ko to khulā mujh par
tilism-e-ḳhvāb meñ rahtā agar maiñ sotā nahīñ
dayār-e-misr se lagtā hai naata terā bhī
vagarna dil meñ hasīnoñ ke ḳhauf hotā nahīñ
kiyā thā mujh ko bhī dīvār-e-shahr ne be-dam
vagarna maiñ kabhī aisā Thikāna khotā nahīñ
zamin-e-hijr pe KHwahish ke bij bota nahin
main aisi sochon ki laDiyan kabhi pirota nahin
hai saya zor taKHayyul pe ek dewi ka
KHilaf-e-husn main likkhun to she'r hota nahin
tere hawale kiya KHud ko to khula mujh par
tilism-e-KHwab mein rahta agar main sota nahin
dayar-e-misr se lagta hai nata tera bhi
wagarna dil mein hasinon ke KHauf hota nahin
kiya tha mujh ko bhi diwar-e-shahr ne be-dam
wagarna main kabhi aisa Thikana khota nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.