zamin hai meri aasmani nahin hun
zamīñ hai mirī āsmānī nahīñ huuñ
faqat ek qissa kahānī nahīñ huuñ
nadī kī tarah bahtī apnī hadoñ meñ
samundar kī koī ravānī nahīñ huuñ
na kar khelne kī tū gustāḳhī mujh se
maiñ ik aag huuñ koī paanī nahīñ huuñ
ka.ī mujh meñ kirdār sāñseñ haiñ lete
kahānī meñ huuñ zindagānī nahīñ huuñ
amāvas na pūnam se mujh ko ġharaz hai
mahaktī huī rāt-rānī nahīñ huuñ
maiñ jaisī thī kal huuñ vahī aaj bhī maiñ
badaltī rutoñ kī nishānī nahīñ huuñ
zamin hai meri aasmani nahin hun
faqat ek qissa kahani nahin hun
nadi ki tarah bahti apni hadon mein
samundar ki koi rawani nahin hun
na kar khelne ki tu gustaKHi mujh se
main ek aag hun koi pani nahin hun
kai mujh mein kirdar sansen hain lete
kahani mein hun zindagani nahin hun
amawas na punam se mujh ko gharaz hai
mahakti hui raat-rani nahin hun
main jaisi thi kal hun wahi aaj bhi main
badalti ruton ki nishani nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.