zamin hasb-e-zarurat ugai jati hai
zamīn hasb-e-zarūrat ugaa.ī jaatī hai
phir ek sāñche meñ ḳhilqat banā.ī jaatī hai
ḳhabar meñ haiñ jo ka.ī zar-ḳharīd qissa-go
hameñ unhīñ kī kahānī sunā.ī jaatī hai
hamārī bazm meñ jalte nahīñ charāġh ke saath
yahāñ charāġh kī dahshat jalā.ī jaatī hai
tamām raat kā jaagā huuñ mā'zarat mire dost
burā na maan agar niiñd aa.ī jaatī hai
hamāre jaam meñ ilzām ke sivā nahīñ kuchh
hameñ sharāb kī tohmat pilā.ī jaatī hai
maiñ ḳhud se jang kā e'lān karne vaalā huuñ
jo haarī jaatī nahīñ hai harā.ī jaatī hai
hamāre 'ahd kā sarmāya haiñ ye tālib-e-‘ilm
inheñ kitāb se nafrat sikhā.ī jaatī hai
zamīn par hai tamām andhe 'āshiqoñ kā hujūm
yahāñ vafā bhī nahīñ āzmā.ī jaatī hai
ye kaise ḳhvāb kī takmīl meñ lagā hai jahāñ
ki zahr de ke mohabbat sulā.ī jaatī hai
zamin hasb-e-zarurat ugai jati hai
phir ek sanche mein KHilqat banai jati hai
KHabar mein hain jo kai zar-KHarid qissa-go
hamein unhin ki kahani sunai jati hai
hamari bazm mein jalte nahin charagh ke sath
yahan charagh ki dahshat jalai jati hai
tamam raat ka jaga hun ma'zarat mere dost
bura na man agar nind aai jati hai
hamare jam mein ilzam ke siwa nahin kuchh
hamein sharab ki tohmat pilai jati hai
main KHud se jang ka e'lan karne wala hun
jo haari jati nahin hai harai jati hai
hamare 'ahd ka sarmaya hain ye talib-e-‘ilm
inhen kitab se nafrat sikhai jati hai
zamin par hai tamam andhe 'ashiqon ka hujum
yahan wafa bhi nahin aazmai jati hai
ye kaise KHwab ki takmil mein laga hai jahan
ki zahr de ke mohabbat sulai jati hai
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 64)
- Author :Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.