zamin ka basi na wo aasman se aaya hai
zamīñ kā baasī na vo āsmāñ se aaya hai
jo shaḳhs mere yaqīñ meñ gumāñ se aaya hai
maiñ ehtirām ke qābil samajhtā huuñ us ko
har ek shaḳhs jo kū-e-butāñ se aaya hai
ki shaam hone se pahle charāġh raushan hoñ
ye silsila to mire raftagāñ se aaya hai
har ek saañs aqīdat se jheltā huuñ use
ki jaise hijr tirā āsmāñ se aaya hai
judā sā lagtā hai bilkul zamīn vāloñ se
tumhāre haath ye chehra kahāñ se aaya hai
mohabbatoñ ke asiir aise hī nahīñ haiñ log
mujhe hunar ye kisī mehrbāñ se aaya hai
zamin ka basi na wo aasman se aaya hai
jo shaKHs mere yaqin mein guman se aaya hai
main ehtiram ke qabil samajhta hun us ko
har ek shaKHs jo ku-e-butan se aaya hai
ki sham hone se pahle charagh raushan hon
ye silsila to mere raftagan se aaya hai
har ek sans aqidat se jhelta hun use
ki jaise hijr tera aasman se aaya hai
juda sa lagta hai bilkul zamin walon se
tumhaare hath ye chehra kahan se aaya hai
mohabbaton ke asir aise hi nahin hain log
mujhe hunar ye kisi mehrban se aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.