zamin ka bojh tha ab bhi zamin pe rahne de
zamīñ kā bojh thā ab bhī zamīñ pe rahne de
jahāñ pe laash girī hai vahīñ pe rahne de
mire ḳhulūs ke qātil tujhe amaañ na mile
ḳhudā ye daaġh tirī āstīñ pe rahne de
maiñ intizār karūñ tū mujhe kabhī na mile
mirī asās-e-mohabbat nahīñ pe rahne de
maiñ apnī zaat kī jaltī rutoñ kā mālik huuñ
tū apne abr ko apnī zamīñ pe rahne de
tire karam ko aqīdat se phuul kahtā huuñ
tū mere zaḳhm ko merī zamīñ pe rahne de
zamin ka bojh tha ab bhi zamin pe rahne de
jahan pe lash giri hai wahin pe rahne de
mere KHulus ke qatil tujhe aman na mile
KHuda ye dagh teri aastin pe rahne de
main intizar karun tu mujhe kabhi na mile
meri asas-e-mohabbat nahin pe rahne de
main apni zat ki jalti ruton ka malik hun
tu apne abr ko apni zamin pe rahne de
tere karam ko aqidat se phul kahta hun
tu mere zaKHm ko meri zamin pe rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.