zamin ka rizq hai ya su-e-asman gai hai
zamīñ kā rizq hai yā sū-e-āsmāñ ga.ī hai
hamāre gumbad-e-dil kī sadā kahāñ ga.ī hai
mile kahāñ se ki ab rā.egāñ na hone duuñ
ye zindagī to mirī saḳht rā.egāñ ga.ī hai
maiñ dil hī dil meñ nasheman kī ḳhair māñgtā huuñ
chaman kī samt sabā yuuñ to mehrbāñ ga.ī hai
gumāñ yahī thā ki ab vo shabīh-e-ḳhūn-ālūd
chalī ga.ī tah-e-dil se magar kahāñ ga.ī hai
ye sochtā huuñ bhaTaktī huī nazar se kaash
vahīñ-vahīñ pe na jaatī jahāñ-jahāñ ga.ī hai
har ek shai pe mujhe e'tibār aane lagā
yaqīñ kī lahr ba-andāza-e-gumāñ ga.ī hai
samajh na ḳhud ko tū ai bahr-e-bekarāñ tanhā
nazar bhī saath tire ho ke be-karāñ ga.ī hai
hazār sā'at-e-ā.inda ḳhuun rotī hai
ye chashm-e-nam jo kabhī sūe-raftagāñ ga.ī hai
ye mauj is ko chaTānoñ pe sar paTaknā hai
jo ābshār kī jānib ravāñ-davāñ ga.ī hai
har ek niiñd meñ Duube hue shabistāñ tak
balā se koī na jaage magar azaañ ga.ī hai
zamin ka rizq hai ya su-e-asman gai hai
hamare gumbad-e-dil ki sada kahan gai hai
mile kahan se ki ab raegan na hone dun
ye zindagi to meri saKHt raegan gai hai
main dil hi dil mein nasheman ki KHair mangta hun
chaman ki samt saba yun to mehrban gai hai
guman yahi tha ki ab wo shabih-e-KHun-alud
chali gai tah-e-dil se magar kahan gai hai
ye sochta hun bhaTakti hui nazar se kash
wahin-wahin pe na jati jahan-jahan gai hai
har ek shai pe mujhe e'tibar aane laga
yaqin ki lahr ba-andaza-e-guman gai hai
samajh na KHud ko tu ai bahr-e-bekaran tanha
nazar bhi sath tere ho ke be-karan gai hai
hazar sa'at-e-ainda KHun roti hai
ye chashm-e-nam jo kabhi sue-raftagan gai hai
ye mauj is ko chaTanon pe sar paTakna hai
jo aabshaar ki jaanib rawan-dawan gai hai
har ek nind mein Dube hue shabistan tak
bala se koi na jage magar azan gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.