zamin ke chehre pe ghamgin dastan ke nuqush
zamīñ ke chehre pe ġhamgīn dāstāñ ke nuqūsh
shafaq ne Thahr ke dekhe mire makāñ ke nuqūsh
bikharte jaate haiñ patte bichhaḌ ke shāḳhoñ se
badal ke rakh diye mausam ne gulsitāñ ke nuqūsh
samay kī naddī se guzrī thī naav phūloñ kī
mahak rahe the havāoñ meñ bādbāñ ke nuqūsh
paḌā thā chāñd kā saayā mirī hathelī par
chamak uThe the lakīroñ meñ kahkashāñ ke nuqūsh
maiñ us kī yaad se kuchh der ham-kanār huā
badan pe sabt hue lams-e-mehrbāñ ke nuqūsh
havā ne bain kiye pā.emāl sabze par
zamīñ ke siine pe dekhe jo kārvāñ ke nuqūsh
shadīd dhuup kī chādar tanī thī sar pe mire
banā rahā thā maiñ dhartī pe sā.ebāñ ke nuqūsh
charāġh-e-sabz ke bujhne se peshtar 'rāshid'
hare daraḳht meñ zāhir hue ḳhizāñ ke nuqūsh
zamin ke chehre pe ghamgin dastan ke nuqush
shafaq ne Thahr ke dekhe mere makan ke nuqush
bikharte jate hain patte bichhaD ke shaKHon se
badal ke rakh diye mausam ne gulsitan ke nuqush
samay ki naddi se guzri thi naw phulon ki
mahak rahe the hawaon mein baadban ke nuqush
paDa tha chand ka saya meri hatheli par
chamak uThe the lakiron mein kahkashan ke nuqush
main us ki yaad se kuchh der ham-kanar hua
badan pe sabt hue lams-e-mehrban ke nuqush
hawa ne bain kiye paemal sabze par
zamin ke sine pe dekhe jo karwan ke nuqush
shadid dhup ki chadar tani thi sar pe mere
bana raha tha main dharti pe saeban ke nuqush
charagh-e-sabz ke bujhne se peshtar 'rashid'
hare daraKHt mein zahir hue KHizan ke nuqush
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.