zamin ke dosh pe ek munfarid kitab hun main
zamīñ ke dosh pe ik munfarid kitāb huuñ maiñ
ye aur baat hai be-nām intisāb huuñ maiñ
kabhī ye vahm ki ḳhāliq-numā hai merā vajūd
kabhī ḳhayāl ki dhokā huuñ ik sarāb huuñ maiñ
mirā qusūr jo merī niyāz-mandī hai
to is ke baad haqīqat meñ lā-javāb huuñ maiñ
haiñ qadr-dāñ ke tajassus meñ mere gauhar-e-fikr
samundaroñ kī tarah mahv-e-pech-o-tāb huuñ maiñ
jagāyā mahshar-e-hastī ne jab to aisā lagā
kabhī jo dekhā thā maiñ ne vo ek ḳhvāb huuñ maiñ
paḌho ki haal kī tārīḳh hai raqam 'hasrat'
jalī hurūf meñ rūdād-e-inqalāb huuñ maiñ
zamin ke dosh pe ek munfarid kitab hun main
ye aur baat hai be-nam intisab hun main
kabhi ye wahm ki KHaliq-numa hai mera wajud
kabhi KHayal ki dhoka hun ek sarab hun main
mera qusur jo meri niyaz-mandi hai
to is ke baad haqiqat mein la-jawab hun main
hain qadr-dan ke tajassus mein mere gauhar-e-fikr
samundaron ki tarah mahw-e-pech-o-tab hun main
jagaya mahshar-e-hasti ne jab to aisa laga
kabhi jo dekha tha main ne wo ek KHwab hun main
paDho ki haal ki tariKH hai raqam 'hasrat'
jali huruf mein rudad-e-inqalab hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.