Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zamin ke sabz maqamat se guzarti hui

Mehmood Rashid

zamin ke sabz maqamat se guzarti hui

Mehmood Rashid

MORE BYMehmood Rashid

    zamīñ ke sabz maqāmāt se guzartī huī

    qadīm nahr thī bāġhāt se guzartī huī

    ugā rahī thī udāsī tamām khetoñ meñ

    vo ek rail mazāfāt se guzartī huī

    patang kaT ke achānak kisī havelī meñ

    utar ga.ī thī makānāt se guzartī huī

    koī khaḌā thā ghane peḌ panāhoñ meñ

    aur ik nigāh thī barsāt se guzartī huī

    maiñ ik daraḳht siyah raat ke kināre par

    vo raushnī thī kisī paat se guzartī huī

    zamin ke sabz maqamat se guzarti hui

    qadim nahr thi baghat se guzarti hui

    uga rahi thi udasi tamam kheton mein

    wo ek rail mazafat se guzarti hui

    patang kaT ke achanak kisi haweli mein

    utar gai thi makanat se guzarti hui

    koi khaDa tha ghane peD ki panahon mein

    aur ek nigah thi barsat se guzarti hui

    main ek daraKHt siyah raat ke kinare par

    wo raushni thi kisi pat se guzarti hui

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now