zamin ke zaKHm ko pahle rafu kiya jae
zamīñ ke zaḳhm ko pahle rafū kiyā jaa.e
phir us ke ba.ad darīda falak siyā jaa.e
hamārā aks agar darmiyāñ na haa.il ho
to aa.ine ko gale se lagā liyā jaa.e
ye zindagī to purānī sharāb jaisī hai
ye kaḌvā ghūñT hai lekin ise piyā jaa.e
jo raftagāñ haiñ unheñ lauT kar nahīñ aanā
ab intizār kā bistar uThā diyā jaa.e
tumhārī yaad ne shab-ḳhūn mārnā hai to kyā
dil-o-dimāġh se pahra haTā diyā jaa.e
hamāre sar pe jo TuuTā hai āsmāñ to kyā
ab āsmān ko sar par uThā liyā jaa.e
zamin ke zaKHm ko pahle rafu kiya jae
phir us ke baad darida falak siya jae
hamara aks agar darmiyan na hail ho
to aaine ko gale se laga liya jae
ye zindagi to purani sharab jaisi hai
ye kaDwa ghunT hai lekin ise piya jae
jo raftagan hain unhen lauT kar nahin aana
ab intizar ka bistar uTha diya jae
tumhaari yaad ne shab-KHun marna hai to kya
dil-o-dimagh se pahra haTa diya jae
hamare sar pe jo TuTa hai aasman to kya
ab aasman ko sar par uTha liya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.