zamin KHamosh hai ye aasman bujha hua hai
zamīñ ḳhamosh hai ye āsmāñ bujhā huā hai
ye lag rahā hai kahīñ koī hādsa huā hai
har ek shab maiñ yahī sochtā huuñ barsoñ se
falak ke baam pe ye chāñd kyoñ rakhā huā hai
ye raushnī hai jo chehre pe tū ne baḳhshī hai
laboñ pe hai jo tabassum tirā diyā huā hai
batā rahā hai kahānī guzishta barsoñ kī
har ek rang jo tasvīr se uḌā huā hai
suḳhan-varī se bhale aur kuchh na ho lekin
ham aise kitne akeloñ kā dil lagā huā hai
ye aaj kyā huā 'ujlat meñ rahtā thā jo shaḳhs
tire ḳhayāl meñ ik 'umr se rukā huā hai
zamin KHamosh hai ye aasman bujha hua hai
ye lag raha hai kahin koi hadsa hua hai
har ek shab main yahi sochta hun barson se
falak ke baam pe ye chand kyon rakha hua hai
ye raushni hai jo chehre pe tu ne baKHshi hai
labon pe hai jo tabassum tera diya hua hai
bata raha hai kahani guzishta barson ki
har ek rang jo taswir se uDa hua hai
suKHan-wari se bhale aur kuchh na ho lekin
hum aise kitne akelon ka dil laga hua hai
ye aaj kya hua 'ujlat mein rahta tha jo shaKHs
tere KHayal mein ek 'umr se ruka hua hai
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 91)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.