zamin khanakti rahi aur ghaTa ne kuchh na kaha
zamīñ khanaktī rahī aur ghaTā ne kuchh na kahā
galī tak aa ke bhī kaalī balā ne kuchh na kahā
kahāñ kahāñ pe daraḳhtoñ kī chādareñ utrīñ
lagī vo chup ki barahna havā ne kuchh na kahā
tamām shab paḌī jazboñ pe itnī os ki bas
tamām shab ḳhalish-e-der-pā ne kuchh na kahā
kahāñ bujhe vo darīchoñ se jhāñkte chehre
palaT ke aa.ī to bād-e-sabā ne kuchh na kahā
vo musht-e-ḳhāk kī majbūriyāñ samajhtā hai
jabīñ ke daaġh gine phir ḳhudā ne kuchh na kahā
ajab hai qaht-e-sadā bhī ki jab gire ham log
idhar udhar se kisī ham-navā ne kuchh na kahā
to kyā kisī ne use TūTte nahīñ dekhā
to kyā kisī se mire be-vafā ne kuchh na kahā
zamin khanakti rahi aur ghaTa ne kuchh na kaha
gali tak aa ke bhi kali bala ne kuchh na kaha
kahan kahan pe daraKHton ki chadaren utrin
lagi wo chup ki barahna hawa ne kuchh na kaha
tamam shab paDi jazbon pe itni os ki bas
tamam shab KHalish-e-der-pa ne kuchh na kaha
kahan bujhe wo darichon se jhankte chehre
palaT ke aai to baad-e-saba ne kuchh na kaha
wo musht-e-KHak ki majburiyan samajhta hai
jabin ke dagh gine phir KHuda ne kuchh na kaha
ajab hai qaht-e-sada bhi ki jab gire hum log
idhar udhar se kisi ham-nawa ne kuchh na kaha
to kya kisi ne use TuTte nahin dekha
to kya kisi se mere be-wafa ne kuchh na kaha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.