zamin KHatm hui sar par aasman na raha
zamīn ḳhatm huī sar par āsmāñ na rahā
isī ke saath koī ḳhauf-e-imtihāñ na rahā
hamāre ishq kā koī gavāh zinda nahīñ
azāb-e-hijr thā ab vo bhī darmiyāñ na rahā
tamām-rāt sitāre hamīñ ko dekhte the
tilism-e-zāt se nikle to ye jahāñ na rahā
fasīl-e-shahr pe shab-zinda-dār rahte the
hujūm-e-shahr meñ aisā koī javāñ na rahā
ye zindagī hai to ham zindagī se baaz aa.e
vo jaan kyā ki jahāñ jaan kā ziyāñ na rahā
tamām lafz haiñ tafhīm-e-nau pe āmāda
qayāmatoñ se guzarnā bhī nā-gahāñ na rahā
bas ik salīqa-e-tajsīm ḳhvāb thā magar ab
sivā.e sīna-e-sad-chāk kuchh nishāñ na rahā
miyān-e-gardish-e-aflāk tū bhī ḳhush ho jā
malāl ham ko bhī ai sa.ī-e-rā.egāñ na rahā
ḳharāb-o-ḳhasta-o-āsūdagān-e-manzil bhī
naved-e-jashn ki 'haqqī' kā kārvāñ na rahā
zamin KHatm hui sar par aasman na raha
isi ke sath koi KHauf-e-imtihan na raha
hamare ishq ka koi gawah zinda nahin
azab-e-hijr tha ab wo bhi darmiyan na raha
tamam-raat sitare hamin ko dekhte the
tilism-e-zat se nikle to ye jahan na raha
fasil-e-shahr pe shab-zinda-dar rahte the
hujum-e-shahr mein aisa koi jawan na raha
ye zindagi hai to hum zindagi se baz aae
wo jaan kya ki jahan jaan ka ziyan na raha
tamam lafz hain tafhim-e-nau pe aamada
qayamaton se guzarna bhi na-gahan na raha
bas ek saliqa-e-tajsim KHwab tha magar ab
siwae sina-e-sad-chaak kuchh nishan na raha
miyan-e-gardish-e-aflak tu bhi KHush ho ja
malal hum ko bhi ai sai-e-raegan na raha
KHarab-o-KHasta-o-asudagan-e-manzil bhi
nawed-e-jashn ki 'haqqi' ka karwan na raha
- Book : Imkaan-e-roz-o-shab (Pg. 182)
- Author : Syed Abul Hasnat Haqqi
- Publication : Educational Publishing House (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.