zamin khinchti hai gagan khinchta hai
zamīñ khīñchtī hai gagan khīñchtā hai
tujhe ai musāfir kafan khīñchtā hai
guzartī hai ab zindagī aise jaise
khilāḌī bahut tez ran khīñchtā hai
ye baḌhtī huī 'umr kahtī hai mujh se
tujhe apnī jānib kafan khīñchtā hai
koī raam hai rah rahā mere andar
jise tere andar kā ban khīñchtā hai
uThānā thā sonā uThātā hai miTTī
'amal khīñchnā thā tū dhan khīñchtā hai
sikuḌtī chalī jā rahī hai vo ḳhud meñ
koī dhīre dhīre ribbon khīñchtā hai
ki chumbak koī jaise khīñche hai lohā
tirā lams aise dukhan khīñchtā hai
maiñ dariyā meñ yuuñ bhī utartā nahīñ huuñ
koī merā tah meñ badan khīñchtā hai
zamin khinchti hai gagan khinchta hai
tujhe ai musafir kafan khinchta hai
guzarti hai ab zindagi aise jaise
khilaDi bahut tez ran khinchta hai
ye baDhti hui 'umr kahti hai mujh se
tujhe apni jaanib kafan khinchta hai
koi ram hai rah raha mere andar
jise tere andar ka ban khinchta hai
uThana tha sona uThata hai miTTi
'amal khinchna tha tu dhan khinchta hai
sikuDti chali ja rahi hai wo KHud mein
koi dhire dhire ribbon khinchta hai
ki chumbak koi jaise khinche hai loha
tera lams aise dukhan khinchta hai
main dariya mein yun bhi utarta nahin hun
koi mera tah mein badan khinchta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.