zamin ki KHak ko KHak-e-shifa banate hue
zamīñ kī ḳhaak ko ḳhāk-e-shifā banāte hue
sināñ tak aa ga.e insāniyat bachāte hue
pakaḌ ke raḳht-e-safar meñ rakhe haiñ kuchh jugnū
chaleñge shab meñ yahī rāsta dikhāte hue
jigar meñ dard uThā to kisī kī yaad aa.ī
chhalak ga.iiñ mirī āñkheñ ġhazal sunāte hue
azān-e-sub.h-e-shahādat meñ ho ga.e shāmil
charāġh-e-jazba-e-nusrat kī lau baḌhāte hue
lahū Tapakne lagā merī chashm-e-ġhairat se
barahna sar ke liye ik ridā banāte hue
dayār-e-shām qayāmat meñ ho gayā tabdīl
kuchh aise aa.e haiñ ḳhurshīd jagmagāte hue
har ek chehra-e-parvāna-e-vafā ko paḌhā
charāġh-e-ḳhema-e-ansār ko bujhāte hue
kabhī añdheroñ kabhī sard mausamoñ se laḌe
ham apnī jism kī poshāk ko jalāte hue
kisī kī yād-e-shahādat kā in.iqād kiyā
zarā sī der lagī āsmāñ bulāte hue
bachā ke le ga.e girdāb se safīne ko
ham apne ḳhuun ke sailāb meñ nahāte hue
kisī ne aisī rah-e-mustaqīm dikhlā.ī
sañbhal ga.e ka.ī afrād laḌkhaḌāte hue
koī ḳhudā.ī kā us kī nahīñ hai da.ave-dār
ye kaun mar gayā ḳhud ko ḳhudā batāte hue
sunā hai maare ga.e vo fasād meñ bachche
hameñ salām jo karte the āte-jāte hue
tamām us kā sar-e-ibtidā huā na 'rafī.a'
zamāne ho ga.e jo dāstāñ sunāte hue
zamin ki KHak ko KHak-e-shifa banate hue
sinan tak aa gae insaniyat bachate hue
pakaD ke raKHt-e-safar mein rakhe hain kuchh jugnu
chalenge shab mein yahi rasta dikhate hue
jigar mein dard uTha to kisi ki yaad aai
chhalak gain meri aankhen ghazal sunate hue
azan-e-subh-e-shahadat mein ho gae shamil
charagh-e-jazba-e-nusrat ki lau baDhate hue
lahu Tapakne laga meri chashm-e-ghairat se
barahna sar ke liye ek rida banate hue
dayar-e-sham qayamat mein ho gaya tabdil
kuchh aise aae hain KHurshid jagmagate hue
har ek chehra-e-parwana-e-wafa ko paDha
charagh-e-KHema-e-ansar ko bujhate hue
kabhi andheron kabhi sard mausamon se laDe
hum apni jism ki poshak ko jalate hue
kisi ki yaad-e-shahadat ka iniqad kiya
zara si der lagi aasman bulate hue
bacha ke le gae girdab se safine ko
hum apne KHun ke sailab mein nahate hue
kisi ne aisi rah-e-mustaqim dikhlai
sanbhal gae kai afrad laDkhaDate hue
koi KHudai ka us ki nahin hai dawe-dar
ye kaun mar gaya KHud ko KHuda batate hue
suna hai mare gae wo fasad mein bachche
hamein salam jo karte the aate-jate hue
tamam us ka sar-e-ibtida hua na 'rafia'
zamane ho gae jo dastan sunate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.